Bahaar rutt main ujar raste,thaka karo gay to ro paro gay
kisi se milne ko jab bhi mohsin,saja karo gay to ro paro gay
tumhare wadoon ne yaar mujh ko,tabah kia hai kuch iss tarha se
k zindagi main jo pher kisi se,dagha karo gay to ro paro gay
main janta hun meri muhabbat,ujar day gi tumhe bhi aise
k chand ratoon main ab kisi se,mila karo gay to ro paro gay
barasti barish main yaad rakhna,tumhen sataingi meri ankhen
kisi wali k mazaar par jab,dua karo gay to ro paro gay…
No comments:
Post a Comment