Tuesday, July 30, 2013
Mayaar girta na doston ka, na hum dushman ki dhaal hotay...!< + Za'eef dushman pe war kertay to waqt K hum daj'jaal hotay...!< + Nahin tha apna mizaaj aisa, K zarf kho ker Aana bachatay...!< + WaGarna aise jawab detay, K phir na paida sawal hotay...!< + Humari fitrat ko janta hy, tabhi to dushman yeh keh raha hy...!< + Hy dushmani mein B zarf aisa, jo dost hotay kamal hotay...!< + Jo Aa K tum haal puch letay, to itnilambi na umar lagti...!< + K wasal ki ik gharri main saray, guzaray mah-o-saal hotay...!< + Use mubarak muqam uncha, sahi haqiqat humen pata hy.. Banatay rishton ki ham B seerhi, to Aasman ki misal hotay. Poet. Shoib sawarti.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment