Thursday, August 1, 2013
Agar karnii hoon to phir Aa, karain hum piyaar ki baatein wagarna choR dai baaqii hain sub baikaar ki baatein buraa ho ya bhla koii kisi se kya gharaz hum ko kya apnoon ki kamii he jo karein aghyaar ki baatein lagaayaa dil agar hum ne, zamaana kya kahaiga phir ye sub hain baad ki ab to na kar baikaar ki baatein yahaan par to sunaa he ke hote hain kaaN diwaaroun ke kisi ke saamne kaise karein asraar ki baatein ye qol o fail main janaan he kuon itnaa tazaad aakhir kisi se pyaar karta he kisi se pyaar ki baatein teri nazroun main jab se pyaar ki daikhi jhalak hum ne burii lagtii nahein hain ab hamain baikaar ki baatein
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment