Pages

Thursday, August 1, 2013

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey Natawaan jism o jaan, dunyaa saywoh takar laynaa Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey es dil kay hathon bohat majboor rahey..

No comments:

Post a Comment