Saturday, August 10, 2013
Sab Maaya Hai sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai iss ishq mein humnay jo khooya jo paya hai jo tum naykaha hai, faiz nay jofarmaya hai sab maya hai haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai sab maayahai ik naam tubaqi rehtahai, gar jaan nahi jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi tab shamapay dainay jaan patanga aaya hai sab maayahai maloom hmain sabqais miyaan kaqissa bhi sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi farhad bhijo ik nahar se khood kaylaya hai sab maya hai kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo jis saat samandar par ke naar ke baat karoo uss naar say koi aiknay dhokakhaya hai? sab maayahai jis goori pay hum aik ghazal har shaamlikhain tum jantayhoo - humkiyonkar uss ka naam likhain dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai sab maayahai woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee aa uss naybhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai saab mayahai jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai sab maayahai jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai iss sheharsay door - aik kutiya hum nay banaye hai aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai sab maayahai © Ibne Insha. All
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment