Pages

Friday, December 20, 2013

Bhooli larki mat us khwaab k pechey baago pathar ban kar reh jao gi teez boht hay waqt ka dariya tum bhi us me beh jao gi ye nishtar jaisi ruswai bolo kaise seh pao gi yu'n Bacho jaisi baato'n se boolo tum sub ko behla sakti ho kiya tum apne munn ki Munntak Duniya ko samjha sakti ho khwaabo'n jaisi baatai'n kar k kiya tabeerai'n paa sakti ho Baap ki shafqat , Maa'n ki tamanna kiya such much tukra sakti ho jis ghar me parwaan charhi tum us ko chor k aa sakti ho aysi baatai'n namumkin hay bas tum apni tanhai me Hijr k Geet hi ghaa sakti ho.

No comments:

Post a Comment