Pages

Friday, December 20, 2013

Jitna Aaya Hai Tere Baad Nazar Baarish Mein Itna Sunsaan Na Tha Pehlay Nagar Baarish Mein Dhul Gaya Lamhon Mein Saalon Ka Parra Gard-o-Ghubaar Ho Gaye Aur Bhee Sar-Sabz Shajar Baarish Mein Tujh Ko Maloom Nahi Royi Howi Aankh Ka Gham Kar Ke Dekho Tou Kisi Shaam Safar Baarish Mein Kam Tou Pehlay Bhi Nahi Tha Magar Ay Bichray Howay Barh Gaya Aur Tere Gham Ka Asar Baarish Mein Har Taraf Ek Udaasi Si Utar Aati Hai Kisi Zindaan Mein Dhal Jaata Hai Ghar Baarish Mein Ay Alamnaak Ghatao Ose Jaa Kar Kehna Takta Rehta Hai Koi Jaanib-e-Dar Baarish Mein Is Qadar Rasmi Hai Wo Shakhs Ke Bas Holay Se Pooch Leta Hai Janaab Aaj Kidher Baarish Mein

No comments:

Post a Comment