Pages

Sunday, December 15, 2013

"Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain To kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain?" "Na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai Ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain" "Tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai Udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain" "Bisaat_e_assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary Saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain" "BayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar Hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain" "Abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai Abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain" "Abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai Abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain"

No comments:

Post a Comment