Pages

Tuesday, January 28, 2014



ALVIDA KEH KAR USAY TAKTA RAHA MAIN DAIR TAK.


Alwida keh kar usay takta raha main dair tak,
Aatish-e-khamosh mein jalta raha main dair tak,
Sheher ki veeraan galiyon mein akela raat bhar,
Ik musafir ki tarah phirta raha main dair tak,
Aasman par aik adhoora chand aur bikhray taaray,
Intazar-e-subho mein ginta raha main dair tak,
Sochta hoon kis liye bujhta chala jata hai dil,
Baad us ke ji ko behlata raha main dair tak,
Kis qadar maazi ki yaadein talkh aur be dard hein,
Neend kho kar aankhon se rota raha main dair tak..

No comments:

Post a Comment