Bikharta Jisam Meri Jaan Kitaab Kya Ho Ga,
Tumhaare Naam Se Ab Intsaab Kya Ho Ga.
Tum Apni Neend Bhare Shehar Me Talaash Karo,
Jo Aankh Raakh Huwi Us Me Khuwaab Kya Ho Ga.
Wo Meri Tohmaten Apne Badan Pe Kiyon Orrhe,
Mere Gunaah Ka Us Ko Sawaab Kya Ho Ga.
Mile Ga Dhubne Walon ko Ajar Jo Bhi Mile,
Samandaron Ka Magar Ehtsaab Kya Ho Ga.
Hamaaray Baad Hamein Yaad Kiyon Kare Ga Koi,
Hawaa Ka Naqsh Sar-e-Sat'h-e-Aab Kya Ho Ga.
Bikharte Toot'e zafar Ko Aur Kya Kehna,
Kharaab Aur Wo Khana Kharaab Kya Ho Ga.
No comments:
Post a Comment