Thursday, August 1, 2013
====== PART.2.4 ====== Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bohat Dhoka Hai Woh Kehti Hai, Tamanayein Salamat Hi Nahi Ab To Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun Main Kehta Hoon Ke Jab Tak Jang Ki Soorat Nahi Milti Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein Main Kehta Hoon k yeh Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan Woh Kehti Hai, Main Husn-e-NarmiEhsaas Hoon Main Kehta Hoon Ke Main To KhudGawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain Woh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre se Kya Hasil Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen Main Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein Main Us Ki Baat Per Dukh Se HansaAur Kuch Nahi Bola Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath Chalte Hain Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand KiBasti Kahan Per Hai Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar SeBezaar Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht KeIs Paar Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per Woh Kehti Hai, Zameen Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai Main Kehta Hoon, Zameen Hum se Bohat Naraz Rehti Hai Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment