Thursday, August 1, 2013
====== PART3.4 ====== Mar Deti Hain Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang Jaisi Ho Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon KiKhushbuon Jaisi Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi Woh Boli, Main Samandar Paar Janat Se Aayi Hoon Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko SoyaNahi Karta Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain Main Bola, Karbala Waalon Se KuchNisbat Theharti Hai Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai. == == == (Is Ka 4th Part Neche hai. Galti se 4th part ki jaga 3 likha hai.)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment