Thursday, August 1, 2013
===== PART.3 ===== Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein Woh Boli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal jata Hai Lamhon Mein Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phir Palat Aaye Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai GhamKe Shehar ki Janib Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte Main Bola, Rooh Bin Main Jism KyaKarta, Kahan Jata Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra Woh Boli, Rait Urti Hai To AankhonMein Bhi Parti Hai Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi Main Kehta Hoon, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha Woh Mujh Se Poochti Hai,Tum KiseMujrim Samajhte Ho Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Gay Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt KoTum Kya Samajhte Ho Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas KeA'dad Ki Ginti Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare Main Us Se Poochta Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat AurDin Ki Musafat Kya Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai Jahanon Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal KyaHai Aur Dil Kya Hai Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kiya Kam Hai Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko Woh Kehti Hai, Suno Mujhe Tum SeMohabbat Hai Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho Woh Kehti Hai,Yeh Saare Log Kyun Baatein Banate Hain Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai Main Kehta hoon, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hai Woh Mujh Se Poochti Hai,Har TarafIk Be Kali Kyun Hai Main Kehta Hoon, Koi Anjaam aa Pohancha Hai Basti Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho Main Us Se Poochta Hoon,Is QadarNadaan Kab Se Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi Main Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi Woh Boli, Dard Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment