Pages

Saturday, December 21, 2013

Kabhi Aansoo, kabhi Khushboo, kabhi Naghma ban kar Hum se her shaam mili hai tera CHEHRA ban kar ; Chaand nikla hai teri Aankh ke Aansoo ki tarah Phool mahke hain teri Zulf ka Saaya ban kar ; Meri Jaagi hoi Raaton ko Osski hai Talaash So raha hai meri Aankh mein jo Sapna ban kar ; Dil ke Kaghez pe Uttarta hai woh Shairon ki tarah Mere Honton pe machalta hai woh Naghma ban kar ; Raat bhi ho toh boujhti nahi Chehray ki Chamak Rooh mein phail gaya hai woh Ujaala ban kar ; Mera kya Haal hai, yeh Aa ke kabhi dekh toh le Jee raha hoon tera bhoola howa Waada ban kar ; Dhoop mein kho gaya woh Haath chhuda kar faysal Ghar se jo saath chala tha mera Saaya ban kar ; KHABHI AANSOO, KABHI KHUSHBOO, KABHI NAGHMA BAN KAR HUM SE HER SHAAM MILI HAI TERA CHEHRA BAN KAR !

No comments:

Post a Comment