Pages

Saturday, December 21, 2013

rafta rafta dar-o-deewar khulain gain mujh par shehr e gham tere sab israr khulain gain mujh par pehla pathar meray ahbaab he marain gain mujay baad main sab lab-e-izhaar khulain gain mujh par band ankhon se sabhi dekh rahain hain mujh ko janay kab deeda-e-bedaar khulain gain mujh par aazmanay ki koi shart na rakhi main ne kis tarha meray wafa daar khulain gain mujh par sir uthaanay ki kisi roz jo fursat hogi kitnay manzir sir-e-kuhsaar khulain gain mujh par samnay aye gee jis wakt meri jaan-e-ghazal meray mani meray ashaar khulain gain mujh par manzil-e-fukr se guzron ga main jis dam faysal khud ba khud shahon kay darbaar khulain gain mujh par .....

No comments:

Post a Comment